Skip to main content

Posts

Showing posts with the label Hindi

Reflections

महफ़िलें वही हैं, ये जाम दूसरा है बाज़ार है वही, पर दाम दूसरा है ख्वाहिशें वही हैं खुमार दूसरा है यार भी वही हैं, पर प्यार दूसरा है सब कुछ है हूबहू, बस ख्याल दूसरा है वो साल दूसरा था, ये साल दूसरा है _______________________________________________ mehfilein wahi hain, par jaam doosra hai bazaar bhi wahi hai, par daam doosra hai khwahishein wahi hain khumaar doosra hai yaar bhi wahi hain, par pyaar doosra hai sab kuchh hai hu-ba-hu, bas khayal doosra hai woh saal doosra tha yeh saal doosra hai

Kuchh Raatein

कुछ रातें ऐसी होती हैं अधखुली आँखें आधी सोयी, आधी जागी ख्वाबों की दस्तक पर चौंक उठती हैं कुछ रातें ऐसी होती हैं रेडियो वाली लड़की हंसती है, खिलखिलाती है बेनाम उस आवाज़ से जाने कितनी गिरहें खुलती हैं कुछ रातें ऐसी होती हैं खिड़की में चाँद और करवटें, और करवटें डेढ़ पहर रात्री चांदनी में कटती है कुछ रातें ऐसी होती हैं ज़हन में कुछ शब्द आते हैं अधूरी जो नज़्म बनती है उजाले से डरे दिल का सच अँधेरे में बेख़ौफ़ कहती हैं कुछ रातें ऐसी होती हैं धुंधलाने लगता है सब चांदनी फीकी पड़ने लगती है सब अधुरा सा रह जाता है अधूरे ख्वाब, अधूरी नज़्म अधूरे गाँठ, अधूरी रात सुबह की पहली किरणें रात के स्लेट को साफ़ कर देती हैं कुछ रातें ..... For those whose hindi font is not working Kuchh raatein aisi hoti hain adhkhuli ankhen aadhi soyi, aadhi jaagi khwabon ki dastak par chaunk uthi hain kuchh raatein aisi hoti hain radio wali ladki hansti hai, khilkhilati hai benaam us awaz se jane kitni girhein khulti hain kuchh raatein aisi hoti hain khidki mein chand aur karwatein, aur karwatein dedh pahar raat chandni mi...

Google Talk

Dedicated to: Gulzar Saab and to all guys wih a computer screen who are the inspiration behind this piece कल रात तुम्हारे online आने का इंतज़ार करता रहा बोझिल आँखें तुम्हारी बत्ती के green होने की आस देखती रहीं बात तो वैसे कुछ ख़ास नहीं थी पार बात तो फ़िर भी करनी थी दिन कैसे बीता, जब चोट लगी -- क्यों हँसा, यही सब कहनी थी दो बार "thr" भी मारा, सोचा कहीं "always-idle" तो नहीं कोई reply नहीं आया तो सोचा की अब यही सही शायद आज तुम्हारा mood नहीं था ४ बजे वाला कोहरा भी घिर आया था मैं आँखें मूँद नींद का इंतज़ार करता रहा कल रात तुम्हारे online आने का इंतज़ार करता रहा इन बोझिल आंखों को तुमसे chat करने की आदत सी हो गई है. Do follow up to the jugalbandi And for those whose Hindi font is not working: Kal raat tumhare online aane ka intezaar karta raha bojhil aankhen tumharee batti ke green hone ki aas dekhti rahi.n baat to waise kuchh khaas nahi thi par baat to fir bhi karni thi din kaise beeta, jab chot lagi -- kyun hansa yahi sab kahni thi do baar "thr" bhi maara, s...

Sawaal

होटों पर जो नाम है उस नाम की कीमत कितनी है ? चाँद में जो दाग है उस दाग की कीमत कितनी है ? घर बार , प्यार , सपने सारे पहले से गिरवी रखे हैं ईमान बचाए रखा जो ईमान की कीमत कितनी है ? गाँठें खिंच खिंच कर तार हुईं रिश्तों के धागे टूट गए | दुनिया हमसे बेजार हुई सब रस्में वादे टूट गए | माना हस्ती छोटी है पर हक इतना तो रखता हूँ पूछ सकूँ मैं तुझसे , " मेरे यार , मुहब्बत कितनी है ?" For those whose Hindi font is not working properly: Hoton par jo naam hai Us naam ki keemat kitni hai? Chaand mein jo daag hai Us daag ki keemat kitni hai? Ghar baar, pyaar, sapne saare, Pehle se girvi rakhe hain Imaan bachaye rakha jo Imaan ki keemat kitni hai? Gaanthen khinch khinch kar taar huin Rishton ke dhaage toot gaye Duniya hamse bezaar hui Sab rasme waade toot gaye Maana hasti chhoti hai par Haq itna to rakhta hoon Poochh sakoon main tujhse, "Mere Yaar Muhabbat kitni hia?"

Prem Geet

दो shabd, teen matra, chaar panktiyan, ek chhand geeli farsh pe bikhre panne kar syahi ki botal band Aangan mein pasre kapde jo sookh chuke the ghanton se bhiga raha hai unko badal aansoon se apne hans hans ke Bauchharon ki masti ko man aaj bada lalkar raha adhrange panno ko main man-beman se faad raha Lafzon se man tha joojh raha mausam woh bada nirala tha garm tel ki khushbhu thi aur haathon mein ek pyaala tha Koshish ki kaafi maine par shabd kahin fanse se the shayad dekh tumhara belan bechare sahme se the Chhavi banaoon us pal ki main shabdon ka ek jaal bunoon tumhe samarpit karne ko ek rang chhand ras raag rachooon Mausam badle, tevar badle sookha sa sawan aata tha, jaata tha kahne ko thi jo baatein kayar man keh na pata tha Jaane kitne saalon pe wah sawan fir se aaya hai yaad dilane wah din fir se kuchh bheege badal laaya hai Yaad mujhe hai aaj bhi Kal ke geet ka vaada hai par sach -- mera banjar man wah ek geet bhi aadha hai

Kavi Ki Awaz

Duniya se ji jo uchat gaya do shabd suna jo log sune.n Jag jaayen soti raatein kuchh shor macha jo log sune.n Har dil ki dhadkan andhi hai har aankh sneh se banzar hai duniya ke sookhe pathjhar mein badal garja jo log sune.n seemayen laangh raha koi tujhko lalkaar raha koi Dil dehla de har ghatak ke Hunkaar laga jo log sune.n

Pareshaan Raat Saari Hai

Click here for the original Here's my take on it: Tum manzil se abhi keh do, ki milne hum kal aayenge Abhi hum par khhumari hai, sitaron tum to so jao Badi tumne bhi kaati hain, tanha raatein hans hans ke Sahar muddat hamari hai, sitaron tum to so jao Khhwabon ki khalish dekhee, haalaat-e-haqeekat bhi Ghazab be-ikhteyari hai, sitaron tum to so jao

Khwaab Ka Paudha -- II

Umr ke kacche mod pe Khwaabon ka ek ped lagaya Ruk kar do ghadi ek din for Seench usko – pyar jataya Jaane ki jaldi thi shaayad Agli subah bula rahi thi Naye dhuno aur naye raag ka Naya khwaab who dikha rahi thi Uncchai ki chhah liye Aur kuchh karne ki pyaas liye Chhod chala apne paudhe ko Bas yaadein apne saath liye Chala chala un raahon mein fir Gumnaami ki raat kati Fir aaya who naya savera Khushiyon ki barsaat hui Kuchh aise jeevan beeta aur Kuchh khoya kuchh paya maine Har baadha ko paar kiya aur Har manzil ko paaya maine Khushiyon ke is kolaahal mein Shaam hui main bhayak raha tha Kuchh karma baaki tha shaayd Man ke andar kuchh bhatak raha tha Yaad aayen kuchh beeti baatein Jin par parda main gira chukka tha Boya tha barson pehle jo Khwaabon ka paudha bula raha thA Bahut soch kar aakhir ek din Usi raah par kadam badhaye Sab kuchh tha kal ke hi jaisa Kisse saare sune sunaye Fir a...

Khwaab Ka Paudha -- I

Umr ke kacche mod pe Khwaabon ka ek ped lagaya Ruk kar do ghadi ek din for Seench usko – pyar jataya Jaane ki jaldi thi shaayad Agli subah bula rahi thi Naye dhuno aur naye raag ka Naya khwaab who dikha rahi thi Uncchai ki chhah liye Aur kuchh karne ki pyaas liye Chhod chala apne paudhe ko Bas yaadein apne saath liye Chala chala un raahon mein fir Gumnaami ki raat kati Fir aaya who naya savera Khushiyon ki barsaat hui Kuchh aise jeevan beeta aur Kuchh khoya kuchh paya maine Har baadha ko paar kiya aur Har manzil ko paaya maine Khushiyon ke is kolaahal mein Shaam hui main bhayak raha tha Kuchh karma baaki tha shaayd Man ke andar kuchh bhatak raha tha Yaad aayen kuchh beeti baatein Jin par parda main gira chukka tha Boya tha barson pehle jo Khwaabon ka paudha bula raha tha Turant utha fir, chhod chala sab Us paudhe se mujhko milna tha Fati puraani yaadon ko Uski chhaon mein seena tha ...

Chahat

" Khatm kar doon khud ko main, tere liye O bewafa Teri yaadon ki magar tasveer maangta hoon main Baandh loonga apni hasti, apna zarra ae sanam Muskurahat ki teri woh zanjeer maangta hoon main Doob jaayein hasratein, khwahishein saari meri Aansuon ki teri aaj jheel maangta hoon main "

Saath

" है वक़्त अगर कुछ ज्यादा बांटो, मेरे संग बर्बाद करो साथ अगर हम न हो कल तो मुझको थोड़ा याद करो वापस आऊँगा ये वादा मैं करता नहीं अपनी नाकामियों पे चादर मैं धरता नहीं याद कर लूँगा तुम्हे भी दो घड़ी दो चार पल जितना वक़्त तुम्हारे पास उतना मेरे पास नहीं " " Hai waqt agar kuchh jyaada Baanto, mere sang barbaad karo Saath agar hum na ho kal To mujhko thoda yaad karo Waapas aaonga ye wada main karta nahi Apni nakamiyon pe chaadar main dharta nahi Yaad kar loonga tumhe bhi do ghadi, do char pal Jitna waqt tumhare paas Utna mere paas nahi "