दो shabd, teen matra, chaar panktiyan, ek chhand
geeli farsh pe bikhre panne
kar syahi ki botal band
Aangan mein pasre kapde jo
sookh chuke the ghanton se
bhiga raha hai unko badal
aansoon se apne hans hans ke
Bauchharon ki masti ko
man aaj bada lalkar raha
adhrange panno ko main
man-beman se faad raha
Lafzon se man tha joojh raha
mausam woh bada nirala tha
garm tel ki khushbhu thi aur
haathon mein ek pyaala tha
Koshish ki kaafi maine par
shabd kahin fanse se the
shayad dekh tumhara belan
bechare sahme se the
Chhavi banaoon us pal ki main
shabdon ka ek jaal bunoon
tumhe samarpit karne ko ek
rang chhand ras raag rachooon
Mausam badle, tevar badle
sookha sa sawan aata tha, jaata tha
kahne ko thi jo baatein
kayar man keh na pata tha
Jaane kitne saalon pe
wah sawan fir se aaya hai
yaad dilane wah din fir se
kuchh bheege badal laaya hai
Yaad mujhe hai aaj bhi
Kal ke geet ka vaada hai
par sach -- mera banjar man
wah ek geet bhi aadha hai
geeli farsh pe bikhre panne
kar syahi ki botal band
Aangan mein pasre kapde jo
sookh chuke the ghanton se
bhiga raha hai unko badal
aansoon se apne hans hans ke
Bauchharon ki masti ko
man aaj bada lalkar raha
adhrange panno ko main
man-beman se faad raha
Lafzon se man tha joojh raha
mausam woh bada nirala tha
garm tel ki khushbhu thi aur
haathon mein ek pyaala tha
Koshish ki kaafi maine par
shabd kahin fanse se the
shayad dekh tumhara belan
bechare sahme se the
Chhavi banaoon us pal ki main
shabdon ka ek jaal bunoon
tumhe samarpit karne ko ek
rang chhand ras raag rachooon
Mausam badle, tevar badle
sookha sa sawan aata tha, jaata tha
kahne ko thi jo baatein
kayar man keh na pata tha
Jaane kitne saalon pe
wah sawan fir se aaya hai
yaad dilane wah din fir se
kuchh bheege badal laaya hai
Yaad mujhe hai aaj bhi
Kal ke geet ka vaada hai
par sach -- mera banjar man
wah ek geet bhi aadha hai
Those words are paint a lively picture..every time u read them..really nice! A hiatus of 7 months,and a worthy comeback! kudos!
ReplyDeletebahut zyada machane laga hai
ReplyDeletecontrol
last comment mera tha
ReplyDeletereally nice! i haven't read Hindi poetry for a long time and this one reminded me of old times. btw, i never knew you wrote Hindi poetries
ReplyDeleterarely come across such nice piece in hindi in ne1s blog.....really good work!
ReplyDelete@mangu
ReplyDeletetnx ... aur likhne ka tempo de diye ho :)
@bish
commenting like only u can ... anon anup ... waise wassup with ur blog?
@sarkar
aapki ichhaon ko maddenazar rakhte hue more hindi poetry comin up soon
@sonal
heartenin to see hindi readers around ... tnx for ur comments
acchha hai...
ReplyDeletethoda improvement.. ek saar karta to aur maza aata.. ras ko bar bar badla..may be intentional...
keep it up
Ye Bahut hi pyari tha......Good
ReplyDeleteYe Bahut hi pyari tha......Good
ReplyDeleteDear Author blog.22crossroads.in !
ReplyDeleteI regret, that I can help nothing. I hope, you will find the correct decision.