Skip to main content

Posts

Showing posts from February, 2008

Prem Geet

दो shabd, teen matra, chaar panktiyan, ek chhand geeli farsh pe bikhre panne kar syahi ki botal band Aangan mein pasre kapde jo sookh chuke the ghanton se bhiga raha hai unko badal aansoon se apne hans hans ke Bauchharon ki masti ko man aaj bada lalkar raha adhrange panno ko main man-beman se faad raha Lafzon se man tha joojh raha mausam woh bada nirala tha garm tel ki khushbhu thi aur haathon mein ek pyaala tha Koshish ki kaafi maine par shabd kahin fanse se the shayad dekh tumhara belan bechare sahme se the Chhavi banaoon us pal ki main shabdon ka ek jaal bunoon tumhe samarpit karne ko ek rang chhand ras raag rachooon Mausam badle, tevar badle sookha sa sawan aata tha, jaata tha kahne ko thi jo baatein kayar man keh na pata tha Jaane kitne saalon pe wah sawan fir se aaya hai yaad dilane wah din fir se kuchh bheege badal laaya hai Yaad mujhe hai aaj bhi Kal ke geet ka vaada hai par sach -- mera banjar man wah ek geet bhi aadha hai