Umr ke kacche mod pe
Khwaabon ka ek ped lagaya
Ruk kar do ghadi ek din for
Seench usko – pyar jataya
Jaane ki jaldi thi shaayad
Agli subah bula rahi thi
Naye dhuno aur naye raag ka
Naya khwaab who dikha rahi thi
Uncchai ki chhah liye
Aur kuchh karne ki pyaas liye
Chhod chala apne paudhe ko
Bas yaadein apne saath liye
Chala chala un raahon mein fir
Gumnaami ki raat kati
Fir aaya who naya savera
Khushiyon ki barsaat hui
Kuchh aise jeevan beeta aur
Kuchh khoya kuchh paya maine
Har baadha ko paar kiya aur
Har manzil ko paaya maine
Khushiyon ke is kolaahal mein
Shaam hui main bhayak raha tha
Kuchh karma baaki tha shaayd
Man ke andar kuchh bhatak raha tha
Yaad aayen kuchh beeti baatein
Jin par parda main gira chukka tha
Boya tha barson pehle jo
Khwaabon ka paudha bula raha tha
Turant utha fir, chhod chala sab
Us paudhe se mujhko milna tha
Fati puraani yaadon ko
Uski chhaon mein seena tha
Usi rah par naye safar mein
Dekha jo dil dahal gaya tha
Manzar badle, mausam badal
Pal dar pal sab badal gaya tha
In par hi to chal aay tha main
Par ab rasta lamba lagta tha
Umr hui un raaton ki jab
Apni khoj mein chalta tha
Aakhirkaar ghadi aaye who
Dil zoron se tha dhadak raha tha
Meri annkhon kea age who
Mera paudha chahak raha tha
Bada ho chukka tha who ab tak
Daali daali thi lachak rahi
Meri hare k safalta isme
Fal ban ke thi latak rahi
Us paudhe ki ek jhalak mein
Fir se saara jeevan dekha
Aankhen nam thi, badal garje
Kya khwaabon ka mausam dekha
Kuchh baatein ki hum dono ne
Bhule bisre kisse duhraye
Raat ki datsak par fir humne
Antim chhandon ke geet sunaye
Thak chukka tha man ab mera
Thak chuke the mere paon
So gayi uski baahon mein
Wahi odh kar uski chhaon

aashavad nirashavad mein paudhe ki kahe maar diya hai
ReplyDeleteyaadon ke is paudhe ko
ReplyDeletetu aise mat maar zaraa
abhi aandhi aayi nahi hai
use puchkaar zaraa..
chale chal uske goad mein
use sehlaa zaraa
abhi to janm hua hai uska
aise mat maar zaraa..
Great post man..
thanks a lot @anish
ReplyDelete